..
.
.
.
.
.
.
.
.
..
.
.
**koi apna nahin banta!!! **
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
**koi apna nahin banta **
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke …us pay maan karnay say
**koi apna nahin banta **
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
**koi apna nahin banta **
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
usmain apna or kisi ka naam sajanay say
**koi apna nahin banta **
**ke jab…aankhain hi marr ja’ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja’ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta…
koi apna nahin banta…
**
**being lonely!!!
**