~I$HQ KI MA@R~Ganesh Bihari Tarz

ishq kii maar baRii dardiilii ishq meIn jii na phansaanaa jii
sab kuchh karanaa ishq na karanaa ishq se jaan bachaanaa jii


vaqt na dekhe umar na dekhe jab chaahe majabuur kare
maut aur ishq ke aage to koii chale na bahaanaa jii


ishq kii Thokar maut kii hichakii donon kaa hai ek asar
ek kare ghar ghar rusvaaii ek kare afsaanaa jii


ishq kii nemat phir bhii yaaro har nemat par bhaarii hai
ishq kii Teesein den Khudaa kii ishq se kyaa ghabaraanaa jii


ishq kii nazarn mein yaksaan kaabaa kyaa but_Khaanaa kyaa
ishq mein duniyaa uqbaa kyaa hai kyaa apanaa begaanaa jii


raah kaThin hai pii ke nagar kii aag pe chal ke jaanaa hai
ishq hai seedhii pii ke milan kii jo chaaho to nibhaanaa jii


‘Tarz’ bahut din jhel chuke tum duniyaa kii zanjiiron ko
tor ke pinjaraa ab to tumhein hai des piyaa ke jaanaa jii