I can't smile

:rotfl:
Mera masla ye hai ky jahan rona ya kam as kam rony wala mu banana hu wahan muskirahat hi nahi zordar hansi atti hy:cb:
Aik mehfil-e-meelad main bande natain perh rahy thy mujhe zor ki bhook lagi thi naat ky ashar tu yad nahi a rahy magar kuch boti di mushk tha shaid Bahu ya Mian Meer ka kalam or mujhy tashreeh lagy ky ju khany ki zabrdast khushbu a rahi hai shair os ke bary main ferma raha hai ky mushk phyli hai khany ki khana jaldi serve kero ab:Dher shyr lagy khany ka zikar hai is main. Or bas sanjeda o rangeeda chehron ky beech main ny sir jhukaiya or ankhain ponch ker youn zahir kiya riqaat tari hu gai hy mujh per or ro rahi hon:cb: or khub hansi ghunton main sir dy ker:omg:
PS: AKhir main naat khwan ko khas tor per bataiya giya ky aap ki naat sun ker logon per tu riqaat tari ho gai thi:rotfl: