Aik shair ki tasheeh karwani hai. Aaj kal main bemaar hoon to is wajah say dimagh kaam naheen kar raha.
Unkay aanay aajati hai jo chehray pay ronaq
Woh samajhtay hain bemaar ka haal achha hai
Yeh shair main nay apni dost ko likhna hai.......dimagh kaam naheen kar raha. Maloom naheen kahan ghalati hai. Agar hai to meher bani kar kay darusti (asal lafz darusti hota hai Darustagi naheen) kar dain. Waisay yeh shair meri halat ka ghamaz bhi hai.:(
Peshgi shukriya.