Main aaj bohat ghamgeen hoon kiyon ke log meray Dada Iqbal :rehm: ko Qadeyani gardan rahay hain.
Keya ye darust hai ke aik mashoor aur naik hasti ki zaati zindagi par is tarha keechar uchala jaye? Woh hamaray mohsin hain. Unki poti/nawasi honay ke natay mujhay ye baat pasand naheen ke log un par is qisam ke ilzaam lagayen aur un ke zaati mamlat ko is tarha discuss karain.
Waisay Taya Javed Iqbal ko bhi naheen chahiye tha ke woh aisi kitab likhtay. Maloom naheen ke Taya Javed nay is tarha ke ilzaamat apnay walid-e-garami par kiyon lagaye? Shayed Sayyedna Noah :as: ka beta bhi aisa hi tha.
Jo logon ke saath milkar apnay walid-e-garami par awazain kasta tha, mazzaq urata tha, budha, sehr zada, deewana aur najanay kis kisam ke behoda alqab apnay walid ko deta tha. Woh to Peghambar thay, Dada Iqbal to Wali hain. Darjat mein faraq hay.
Taya Javed, aap is waqt pisar-e-Noah ka kirdar ad kar rahey hain. Main pehlay Pisar-e-Noah ka qisa pardh kar heran hoti thi aur sochti thi ke koi apnay naik amal aur shareef walid ke saath gustakhi kesay kar sakta hai. Laikin aap nay to kamal hi kar diya, mujhay amli soorat mein dikhla diya. Khuda ke wastay aap meray Dada ke saath ye salook matt karain. Hamari zaati mamlaat logon ke agay ashkar matt karain. Aur bay buniyad ilzamat bhi matt lagain.
Unhoon nay aap ki khatir 4 shadiyan keen. Aap ki kisi khuwahish ko na thukraya. Aap ke liye Javed Nama likha. Aur ye ab aap unsay apni mohabbat ka izhar is tareeq say kar rahay hain ke aaj log hans hans kar ham par ungliyan utha rahay hain. Hamain Qadeyani keh rahay hain.
Meri Dadiyon ko Qadeyani keh rahay hain.
Mera journal koi dekhay, main nay Dada Iqbal ki Sayyedna Mohammad :saw: ki shan mein likhi gayi naatain Urdu aur Farsi mein, apnay journal mein likhi hain, bama tarjama. Aur aap unhain Qadeyani sabit kar rahay hain? Mujhay amnay khandani mamlat logon ke agay zer-e-behs lana acha naheen lagata laikin aap nay bhi to had kardi, apnay Walid ki kirdar kushi ke liye kitab hi likh di.
Hamara haal Karbala mein Nawasa-e-Rasool:rz: wala na ki jiye. Hamain logon main zaleel matt ki jiye. Qeyamat ke roz aap Allah ko keya hisab dain gay? Apnay pak daman Walid ke baray mein is tarha ki afwahain matt phelayen.
Main ye pehlay bhi keh chuki hoon ke koi mujhay lakh bura kahay, main bura naheen manati. Laikin jab koi meray khandan ko kuchh kahay, mujh say bardasht naheen hota. Aur khas kar Dada Iqbal :rehm: par koi jhoota ilzam lagaye, mujh say bardasht naheen hota. Aap ki wajah say mujhay taqreeban har do mah baad logon ko Dada Iqbal ka interview dena parhta hai. Ab bas ki jiye. Main aaj bohat dukhi hoon. Sirf aap ki wajah say. Main aap say naraz hoon Taya ji.
Main ye baat logon ke agay karnay par majboor is liye hoyi kiyon ke aap nay bhi to jhooti sachi batain kitab mein chaap di. Aur ab log unko hawala bana kar hamain Qadeyani keh rahay hain.
Main naheen roti, laikin aaj aap ki wajah say royi hoon.![]()
Aap ki naraz beti, Maria.
PS: Koi aaj mujhay hansanay ki koshish na karay, Mera mood theek naheen.