Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
Jamhooriyat, horse trading ka naam hai?
Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
jamhooriyat k naam py sabhi kaam ho rahy hain…Aap sirf ghoron ki tijarat ka zikr kr rahy hyn…
Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
Main ghoRon ke naam per members aur loton ki trading ki baat kar raha tha ![]()
Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
aisa to hota hy or hota hi rahy ga…
Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
I’m unable to read this ![]()
koe roman urdu mai post kareyga please ![]()
Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
ji bilkul kryn gay…
Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
Thank youuu ![]()
Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
**Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
Qurbaan Ga’ay Us Py Dil-o-Jaan Wagaira…
Billi To Yunhi Muft Mein Badnaam Hoi Hy…
Thaily Mein To Kuch Or Tha Samaan Wagaira…
Be-Hirs-o-Garz Farz Ada Kij’ay Apna…
Jis Terhan Police Krti Hy Chalaan Wagaira…
Ab Hosh Nhi Koi K Badaam Kahan Hy…
Ab Apni Hathaili Py Hyn Dandaan Wagaira…
Kis Naaz Sy Wo Nazam Ko Keh Dayty Hyn Nas’ri…
Jab Us K Khata Hoty Hyn Owzaan Wagaira…
Jamhoriyat Aik Tarz-e-Hokumat Hy K Jis Mein…
GhoRon Ki Terhan Bikty Hyn Insaan Wagaira…
Her Shirt Ki Boshirt Bana Daali Hy ANWAR…
Yun Chaak Kiya Hum Ny Giribaan Wagaira…
ANWAR Masood**
Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
Aap k liya TEXT hazir-e-khidmat hy…
Re: Hy Aap K Honton Py Jo Muskaan Wagaira…
wagaira ?as in etc?
Thank youuu ![]()