Husn kou wusateiN jou deiN

Husn kou wusa’teiN jou deiN, ishq kou hausla diyaa
jou naa miley naa mit sakey mujh kou woh mudd’aa diyaa

haath meiN ley key jaam-e-maey, aaj woh muskuraa diyaa
aql kou sard kar diyaa rooh kou jagmagaa diyaa

dil pey liyaa hai daagh-e-ishq, kho key bahaar-e-zindagi
ik gul-e-tar key waastey meiN ney chaman lutaa diyaa

kuch tou kaho yeh kiyaa huaa, tum bhi thay saath kiyaa
gham meiN yeh kyuN suroor thaa dard ney kyuN maza diyaa

ab naa yeh meri zaat hai, ab naa yeh meri kayenaat hai
meiN ney nawa-e-ishq kou saaz sey yooN milaa diyaa

aks jamaal-e-yaar kaa aaina-e-khudi meiN dekh
yeh gham-e-ishq kiyaa diyaa, mujh sey mujhey chupaa diyaa

hashr meiN aftaab-e-hashr aur woh shor-e-al’amaan
asghar-e-but-parast ney zulf kaa waasta diyaa

Asghar gondvi

Re: Husn kou wusateiN jou deiN

kuch tou kaho yeh kiyaa huaa, tum bhi thay saath kiyaa
gham meiN yeh kyuN suroor thaa dard ney kyuN maza diyaa

aziyat pasand log

Re: Husn kou wusateiN jou deiN

aql kou sard kar diyaa rooh kou jagmagaa diyaa

sard aql:barbie:

Re: Husn kou wusateiN jou deiN

aql agar garmam ho to?

Re: Husn kou wusateiN jou deiN

poora mahol garam ho jaey ga

Re: Husn kou wusateiN jou deiN

tek umda Ghazal share karne ke liye shukria. jaisa k shaayad sabhii jaante haiN k AsGhar GonDvii mere maHboob tareen sho'araa meN se ek haiN. yeh Ghazal mujhe bahot pasand hai. iskii audio bhii maiN ne banaayii thii kuchh saal pahle. :)

sabhii ash'aar ek se baRh kar ek haiN! :)

Re: Husn kou wusateiN jou deiN

pasand karne kaa shukriya.....

Re: Husn kou wusateiN jou deiN

Nawaye -e-Ishq lagey Tah kr ke :hehe: