**HUSAIN KAY NAAM
Haqq aur batil ki aawezish ka anjaam, Husain kay naam
Hashr talak likhnay walauy,likhain gay salam, Hausain kay naam
Kabb say uroos-e-ghamm iss dill kay goshay mein chhup karr bethi thi
Maah-e-shab-e-deh bann kay huwi hai zeenat-e-baam, Husain kay naam
Shehr kay shehr nay bilaakhir phir jhoot kay haatH pay be'att karr li
Woh jo hamesha bheja karta tha pehgaam, Husai kay naam
Bahar poora laa'o lashkar dushman aur andheray ka hai
Khemay mein bass aik diya aur channd ghulaam, Husain kay naam
Kon bhala dill kay tukron ko raah-e-wafa mein arzan karta
Dawar-e-dill nay likh rakha tha jabb yeh kaam Husain kay naam
Subh-e-wigha say shaam-e-jafa takk,waqt ki nabzein doob gaein thien
Karb-o-bala mein zinda hain abb kuch ayyam,Husain kay naam
Mekhanay mein harr ik sehba, sidq-o-safa say risalat takk thi
Baqi thi bass aik shahadat, aur yeh jaam, Husain kay naam!
**