Re: Humhare Madarass aur in ke Taleem
Maudodi Sahib Ya Munkir e Hadith **Aaj tak maudodi sahib aur unkay “Aqeedat Mund” doosron par hi munkir e hadith ka fatwa detay rahay, aain aapko tasveer ka doosra rukh dikhain, main bouhat c writings pesh kar sakta hon jis se Maudodi sahib ka “munkir e hadith” hona sabit ho ga lekin filhaal aik do misaalon par hi topic ke hawalay se baat karta hon… Shah Abdul Azeez, Shah Wali Allah, Allama Ibne Jozi aur kayi muhaddiseen kay qaul pesh ker sakta hon ke wo bhi yahi kehtay thay…Lekin aaj sirf Maudodi sahib ka aik roop apko dikhana maqsood hai,Agar koi doosra shakhs kisi hadith ko ilm o aql ke manafi qarar de day, kisi hadith ke raaviyun ko jhoota ya naqabil e aitbaar sabit ker de, muhaddiseen ke bataye huway asoolon mein se koi asool apply kar ke kisi hadith kay baaray mein ye kahay ke ye Rasool(PBUH) ka qaul nahin ho sakta to aisay logon ko Maudodi sahib aur unkay Fans “munkir e hadith” kehtay hain…Aaj aapko dikhata hon ke khud maudodi sahib ne aik aisi hadith ka inkaar apni tafseer mein kiya jiskay baaray mein wo khud dawa kartay hain ke iskay raavi mustanad hain, ye hadith sahi bukhai aur sahi muslim dono mein majood hai aur aik baar nahin kayi kayi baar repeat ho chuki hai…Mulahiza kijiye ke Maudodi sahib iska inkaar kar ke khud apnay hi fatway ke mutabik “Munkir e Hadith” bun gaye
**http://www.tafheemulquran.org/Tafhim_u/038/pages/page023.htm
Iss page par last paragraph parhein jiska start hota hai “Teesra Garoh Kehta hai…” Aur ghaour kijiye ke jo kuch Maudodi sahib ne kaha hai wo aik “Munkir e hadith” ki zuban nahin??? Lekin phir bhi dhitayi se doosron ko ussi baat par munkir e hadith kehna jo khud kar rahay hon kya munafqat nahin?? inn “ulama” ki bay tauqeeri ka bais bhi yahi munafqana ravayyah hai k jab apnay mukhalif koi hadith dekhi fauran radd kar di chahay wo bukhari ki ho ya muslim ki aur asnaad ki base par nahi “Aqal” ki base par aur jab koi aur aisay karay to phir fatway bazi…khud dekh lein, jis baat ka ilzam doroo per lagaya woh kia hai