Humein khabar hi nahin kuchh tumhare aane tak

**Humein khabar hi nahin kuchh tumhare aane tak
ke dil ko chen na aaye ga ik zamane tak

jo hum yaqeen bhi kerlein tumhare wadon ka
jiye ga kaun tumhare palat kay aane tak

gumaan bhi nahin hota hai sun-ne walon ko
ke waqia hi badal jaata hai sunane tak

guzar gai hay isi darmiyan saari umar
swaal kerne se le ker jawab aane tak

har ik chaal agarche buhat hi mushkil thi
mein aa chuki hoon magar jeetney ke khaney tak

tumhein kuchh unkay dilon ki khabar bhi hai ke nahin
pahunch sake na parindey jo ashiyane tak

har ik mahaz pe hara hi hay mera dushman
thaher saka hi nahin aakhri nishane tak

mujhe ye dar hai ke “abii” mere munafiq dost
samet den na meri dastan fasane tak…**

Re: Humein khabar hi nahin kuchh tumhare aane tak

**mujhe ye dar hai ke “abii” mere munafiq dost
samet den na meri dastan fasane tak…

:k:
**