**yay haseen shaam apni
abhi jiss meiN ghul rahi hai
teray parahan kee khushboo
abhi jiss meiN khil rahay heiN
meray khawab kay shagoofay
zera dair ka hai manzar
zera dair meiN ufq par
khilay ga koi sitaara
teri simt daik kar woh
karay ga koi ishara
teray dil ko aayay ga phir
kissi yaad ka bullawa
koi qissa-ay judaaee, koi kaar-ay naamukamal
koi khawab-ay naa shagufta, koi baat kehnay wali
humeiN chaahiyay tha milna
kissi ahad-ay mehrbaaN meiN
kissi khawab kay yaqeeN meiN
kissi aur aasmaaN par
kissi aur sarzameeN meiN
humeiN chahiyay tha milna**