humein bhi bolna aata hai bol saktay hain

Zara si der mein barson ka dostana lagay
woh ajnabi hai taaluq magar purana lagay

main us maqam pe us say judaa huwa hoon jahan
ab us ko dhoondna chaahoon to ek zamana lagay

khayal -o- khwab ki duniya ka ek hamraahi
mujhay kabhi to haqeeqat kabhi fasana lagay

humein bhi bolna aata hai bol saktay hain
hamaray chaahnay waalon ko gar bura na lagay

(MK) (Zara Si Der Main Barson Ka Dostana Lage I Noor Jahan ](http://www.youtube.com/watch?v=tn-7cmaIGmY)

Re: humein bhi bolna aata hai bol saktay hain

aray wah :clap: :clap: