**Dilon mein dard, nigahon mein pyar zinda rahay
khuda karay ye gham-e-saazgar zinda rahay
humaray baad hazzar aaen teray dar pe gada
humaray dast-e-talab ka waqar zinda rahay
tuloo-e-subh k aasar hen magar ab tak,
ye kya khabar k tera be-qarar zinda rahay
ghazal mein rang samoay hein is khaloos ke sath
ke husn-e-surkhi-e-rukhsar-e-yaar zinda rahay
khizaan na aaey meray sehn-e-dard mein Sajid
gulab-e-zakhm-e-talab ka nikhar zinda rahay
**Aitbar sajid