Dhoondti phirti hun tumko hamarei gulistaan mein
Bhatakti hun kabhi baharon mein, kabhi khizaan mein
Shayad aashiyan tumnei naya basa liya
Ruki rahi mein hi kal ki dastaan mein
Na meri baat hi samjhei, na meri khaamoshi tum
Phir kya fark reh gaya gair aur aashna mein
Yaadon ki zanjeeron ne rokei kadam to samjhi
Ki mein to quaid hun iss pyar ke gulistaan mein.