Humaisha dair kar daita hoon main

Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main

Zaroori baat kehni ho , koi wada nibhana ho

Usay awaaz daina ho , usay wapis bolana ho

Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main

Madad karni ho uski,yaar ki dharas bandhana ho

Buhat daireena raston par kisi se milnay jana ho

Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main

Badaltay mosamon ki sair main Dil ko lagana ho

Kisi ko yaad rakhna ho, kisi ko bhool jana ho

Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main

Kisi ko mot se pehlay kisi gham se bachana ho

Haqeeqat or thi kuch us ko ja k ye batana ho

Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main
Munir Niazi

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

nice. one of classics

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

A fav :)

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

ab pachtaey kya hoot,

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

:hinna:

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

:barbie:

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

sust :emmy:

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

achchhii baat hai tasleem kar lenaa...magar, mujhe pataa thaa already k majority of people har kaam meN der kar dete haiN...

...shaa'ir PROCRASTINATION maraz kaa shikaar lagtaa hai! :)

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

Yeh shayad aap per kahee thee uss nay, susat log. :emmy:

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

UK walun k lliye bhe aik shair ho jaye

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

Jee :hinna: mai bhi dair kr deti hoon :frowning:

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

not necessarily procrastination..

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

ji irshaad

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

UK walon ka sher toh Punjab kay governor house mein betha hai. :hehe:

Re: Humaisha dair kar daita hoon main


to aur kia ho saktaa hai? intentional taGhaaful? :D

Re: Humaisha dair kar daita hoon main

aur Karachi ka Don, Malika ka khas aadmi hai :wink: