Hum woh bedard hain k
Khawb luta ker bhi jinhain neend aa jatee hai
Toot phoot ker bhi jin k zehnon ko kuch nahee hota
Ro ro ker bhi jin ki aankhain
Muskarana nahee bhooltein
Ujar,bikhar ker bhi jin k dil
Dharakna yaad rakhtay hain
Hum woh bedard hain k
Jin k aansoo,aankhon ka rasta bhool ker
Dil ki wadi mein girtay hain
Aur girtay hi chalay jatay hain
Hum woh bedard hain k
Shaam say pehlay mer janay ki khawhish mein jo
Jeetay hain aur jeetay hi chalay jata hain
Re: Hum woh bedard hain k
nice
Re: Hum woh bedard hain k
gud one.....