Hum woh bedard hain k Khawb luta ker bhi jinhain neend aa jatee hai Toot phoot ker bhi jin k zehnon ko kuch nahee hota Ro ro ker bhi jin ki aankhain Muskarana nahee bhooltein Ujar,bikhar ker bhi jin k dil Dharakna yaad rakhtay hain
Hum woh bedard hain k Jin k aansoo,aankhon ka rasta bhool ker
***Dil ki wadi mein girtay hain *** Aur girtay hi chalay jatay hain
Hum woh bedard hain k Shaam say pehlay mer janay ki khawhish mein jo Jeetay hain aur jeetay hi chalay jata hain