Hum to youn husan ki tareef kia kartey hain

kis tarha husan ki tareef kiya karte hain
hum tujhey chah ke jetey hain jiya karte hain

husan tera humain maghroor nazar aata hai
apni aaghoosh se wo door nazar aata hai
phir bhi chahte hain tujhye hum to dewano ki tarha
hum tere naam se har saans liya karte hain

humko maloom nahi dil ki haqeeqat kia hai
khudko ehsaas nahi khud ki mohabat kia hai
ik tasswar hai jo her pal he basa rehta hai
bekhudi ka ye zahar rooz piya kartey hain

ik jhalak ki teri mudad se talab gaar hain hum
teri shama si nigahon ke paras taar hain hum
maut bhi hum ko gawara hai tujhey kia maloom
ishq main jaan youn dil waale dia kartey hain

Re: Hum to youn husan ki tareef kia kartey hain

hum tere naam se har saans liya karte hain

Wah.. Mashallah … :k:

Re: Hum to youn husan ki tareef kia kartey hain

Beautiful ... Simply Awsome

Khush Raho