hum nay jo kuch be kia apne muhabbat main kia
go samjhtay hain zamanay ke zarorat kia the
ho jo cha-hat to tapak parte hay khud aankhoon say
aay miray dost batanay ke zarorat kia the
itnay has-sas hain sanson say pighal jatay hain
bijlia’an hum pay giranay ke zarorat kia the
hum to pahlay he tiray huq main tahe dast hoay
aaisay ghai’l pay nishanay ke zarorat kia the
aaisa lagta hay kay kamzor bhut hay tuu be
jeet kar jashan mananay ke zarorat kia the
sa’ad aankhon say hay shikva na he dil say koi
naqsh pane pay bananay ke zarorat kia the*