Hum To Dil Tak Chahte The Tum To Jaa Tak Aagaye

Hairaton Ke Silsile Soze Niha Tak Aa Gaye
Hum To Dil Tak Chahte The Tum To Jaa Tak Aagaye

Zulf Mein Khushboo Naa Thee Ya Rang Aariz Mein Naa Tha
Aap Kis Kee Justju Mein Gulsitaa Tak Agaye

Khud Tumhen Chaake Garebaaa Kaa Sha-Oor Aajayega
Tum Wahaa Tak Aaa To Jao Hum Jahan Tak Aagaye

Un Kii Palkon Pe Sitaare, Apne Honto Pe Hansi
Qissa-E Gham Kehte Kehte Hum Yahaa Tak Aagaye<O:p></O:p>

Re: Hum To Dil Tak Chahte The Tum To Jaa Tak Aagaye

:) Nice