Hum se miltay ho, bigartay ho, chale jaate ho
Baat karte ho, ulajhtay ho, chale jaate ho
Husn aisa hai kay sadyon nay bhi dekha na kahin
Muskuratay ho, palattay ho, chalay jatay ho
mouqa milta hai mulaqaat ka mushkil se magar
Kia yeh kartay ho, jhagartay ho, chalay jatay ho
Aik hi bat ko pakro to hamesha janan
Bat bay bat, kalaptay ho, chalay jatay ho
Main jo kehta hun koi bat bhalay ki khater
Meri her bat, pakartay ho, chalay jatay ho
Us ki khater hi hua nam musafir Azher
Tum bhi her barr, ujartay ho, chalay jatay ho