zalim ki minnatain ab hum say nahi hongi
aisi munafaqatain ab hum say nahi hongi
do pal ka pyar lay k umrain guzar dain
aisi qana’atain ab hum say nahi hongi
tujhko na paa sakay to, dunya he chor dain
aisi hamaqatain ab hum say nahi hongi
dushman sabhi sheher main tere lye huay
aisi adawatain ab hum say nahi hongi
lo hum jhuk gayay, teri bud gumanyon k agay
iss darja wazahatain ab hum say nahi hongi
tark-e-ta’aluq kardya uss nay yeh bol kar
tum par inayatain ab hum say nahi hongi