Hum ne shamma bana liya dil ko

Hum ne shamma bana liya dil ko
Jub bhi chaha jalaa liya dil ko

Dard ney aazma liya dil ko
Behisee ne bachaa liya dil ko

Raja-rani kee dastan pudh kar
Hum ne phir se sula liya dil ko

Tor dena tha zindagi ne par
khudkashi ne bacha liya dil ko

Zakhm rakhe hain kis kariney se
Dekh, maine sajaa liya dil ko

Log seene mein qaid rakhte hain
Hum ne sar pe chadha liya dil ko


APNEY SHIKAAR KI TALAASH MEIN

Buhat Khoob.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


**I’m Gonna Be The Champ
The Way I Wanna Be

Rude Boyz Rulez**

I KNOW

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif


APNEY SHIKAAR KI TALAASH MEIN