Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahee imkaan janaan
Yaad kya tujh ko dilaayein tere paimaan janaan
Yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aya hai
Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana
Zindagi teri ataa thee so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan
Dil yeh kehta hai ke shayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kya baat karain dil tu hai nadaan janaan
Awwal awwal ki muhabbat ke nashay yaad tu kar
Bepiye bhi tera chehra thaa gulistaan janaan
Aakhir aakhir tu yeh aalam hai ke ab hosh nahee
Raag-e-mina sulag uthee ke rag-e-jaan janaan
Muddatton se yeh aalam na tawaqqo na umeed
Dil pukaare hi chala jaata hai janaan janaan
Hum bhi kya saada thay hum ne bhi samaj rakha thaa
Gham-e-dauraan se judaa hai gham-e-janaan, janaan
Ab ke kuch aisi saji mehfil-e-yaaraan jaanaan
Sar-ba-zaanu hai koi sar-ba-girebaan janaan
Har koi apni hi awaaz se kaanp uthtaa hai
Har koi apne hi saaye se hiraasaan janaan
Jis ko dekho wohi zanjeer-ba-paa lagta hai
Shehar ka shehar huwa daakhil-e-zindaan jaanan
Ab tera zikar bhi shaayad hi ghazal mein aaye
Aur se aur huwe dard ke unwaan janaan
Hum ke ruuthi huwi rutt ko bhi manaa letay thay
Hum ne dekha hi na thaa mausam-e-hijraan janaan
Hosh aaya tu sabhi khwaab thay raiza raiza
Jaise urte huwe auraaq-e-pareshaan janaan