hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki

***wo chahta tha phir bhi koi guftago na ki ***
***hum nay bhi poochnay Ki kabi justujoo na ki ***
***tasveer teri dekh kar ankheein chalak pareiN ***
***hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki ***

***baithay rahay chup chap hum parda nasheeN k paas ***
***Musa ki tar’haN dekhnay ki arzoo na ki ***
***wo hai nasha-e-ishq ki lazat say bay khabar ***
***jis nay ye zindagi kabhi nazar-e-sobo na ki ***

***karta raha baiy’aaN wo gaiy’rooN k sa’manay ***
***us nay kabhi she’kayat merey ruu-ba-ruu na ki ***
***kyuN dil meiN chupa’ey rakhay haiN num nay raaz-e-Ishq ***
***ahel-e-Janoon ki baat kabhi koo-ba-koo na ki ***

nicee one :k:

Re: hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki

Bahut aa’laa :k::k::k:

Re: hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki

beautiful ..

Great Koyal...............as usual:)

Re: hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki

maza agaya..................fantastic........!!!

Re: hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki

beautiful

Re: hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki

buhut umdaa...koko

Koyal is always The Great :p

zabardast amazing stuff nikami ur choice is marvellous....

Re: hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki

wah.. zabardast sharing..