**
Hum nay hi lautnay ka iraadah nahe kiya
uss nay bhi bhool jaanay ka va’adah nahe kiya
dukh orhtay naheen kabhi jashn-e tarab main hum
malboos-e dil ko tan kaa libaadah nahe kiya
jo Ghum mila hai bojh uthaya hai us ka Khud
sar zair-e baar-e saaghir-o baadah nahe kiya
kaar-e jehaan hamain bhi bahut thay safar ki Shaam
uss nay bhi iltefaat ziyaadah nahe kiya
Aamad peh teri itr-o charaagh-o suboo nah ho
itnaa bhi bood-o baash ko saadah nahe kiya…!!!**
(Perveen Shakir)