Hum naazuk naazuk dil waalay...!

**Hum naazuk naazuk dil waalay…

Bas aisay hi to hotay hai’n…

Kabhi ha’nstay hai’n…

Kabhi rootay hai’n…

Kabhi dil may khuwaab pirotay hai’n…

Kabhi mehfil mehfil phirtay hai’n…

Kabhi zaat may tanha hotay hai’n…

Kabhi chup ki mohar sajaatay hai’n…

Kabhi geet labo’n per laatay hai’n…

Kabhi sab ka dil behlaatay hai’n…

Kabhi khud may tanha hotay hai’n…

Kabhi shab-bhar jaagtay rehtay hai’n…

Kabhi lambi taan k sotay hai’n…

Hum naazuk naazuk dil waalay…

Bas aisay hi to hotay hai’n…!!***

Re: Hum naazuk naazuk dil waalay…!

Khoob, bahut khoob …

Re: Hum naazuk naazuk dil waalay...!

thanks Amarbail

Re: Hum naazuk naazuk dil waalay...!

awww :) sweet!

Re: Hum naazuk naazuk dil waalay...!

thanks aunty-))