Aik do pal raat k liyay apnay apnay rakh choray thay
Ab wo tanhai ka lamha bhi sanam tera hoa
Itnay manoos hoay hain teri khushboo say keh ab
Hum ko her shakhs say teri hi mehek aati hai
Hum koi ehd - e - wafa tujh say nahi mangtay hain
Yay jo baytabi hai baychaini hai sab tera khumar
Meray aangan main sitaroon ki jo barsatain hain
Chand jo thehr gaya hai meri chat per aa ker
Yay karishmay hain teray, teri inayat hai sanam
Or ab is k siwa bhala tujh say kia mangain
Or vaisay bhi hawaoon ka thikana hai kahan
Kaghazi rishtoon main samjhotoon ki zanjeerain hain
Hum mohobbat ko lifafoon main nahi rakh saktay