*Dil kay a’awaaN mein liye gumshuda sham’ooN ki qataar
noor-e-khursheed say sehmay hoye, uktaye hoye
khusn-e-mehboob kay sayyal tassawur ki tarah
apni ta’areeqi ko bhainchey hoye, liptaye hoye
muzmahil sa’at-e-imrooz ki berangi say
yaad-e-mazi say ghumgeeN, dehshat-e-farda say nidhal
tishna afkaar jo taskeeN naheen patey
sohta-e-a’ashk jo aankhooN mein naheen aatey
ik karha dard keh jo geet mein dhalta hi naheen
dil kay tareek shaghafooN say nikalta hi naheen
our ik uljhi hoyi mahoom si darmaaN ki talaash
dasht-o-zandaaN ki hawas, chak-e-gerabaaN ki talaash*
-Faiz