Hum logon ne ishq eejaad kia...

Jab dehr k ghum sey amaan na mili, hum logoo.n nay ishq ejaad kya
kabhi sheh’r-e butaan main kharaab phire, kabhi dasht-e junoon abaad kya

kabhi bastiyaan ban, kabhi koh-o daman, raha kitne dinoo yehi jee ka chalan
jahan husn mila wahan beth rahey, jahan piyaar mila wahan saad kya

shab-e maah main jab bhi ye dard utha, kabhi bait kahey (likhi chand nagar)
kabhi koh sey ja sar phor marey, kabhi Qais ko ja ustaad kiya

yehi ishq bilakhir rog bana, k hay chah k saath bajog bana
jise ban’na tha ishq wo sog bana, bara man k nagar main fasaad kya

abb qurbat-o sohbat-e yaar kahan, lab-o aariz-o zulf-o kinaar kahan
abb apna bhi Meer sa alam hay, tuk dekh liya jee shaad kya

(Ibn e Insha)


Restored attachments:

Re: Hum logon ne ishq eejaad kia…

Agar aap logon nay ishq eejad kiya toh woh kiya tha joh Laila aur majnu, Heer aur Ranjha, wagera kartey thay. :hmmm:

Nice. :k:

Re: Hum logon ne ishq eejaad kia…

Wo apna aur doosron ka waqt barbad karte thay :hehe: