Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

kisney tora dil hamara ye kahaani phir sahi

**dil ke lutney ka sabab puchho na sab ke samaney **
**naam ayega tumhara ye kahaani phir sahi **

nafaraton ke teer kha kar doston ke shehr mein
ham ne kis kis ko pukara ye kahaani phir sahi

kyaa bataayein pyaar kee baazi wafaa kee raah mein
kaun jeetaa kaun hara ye kahaani phir sahi

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

abhi he bata dain phir sahi ka time nahi hai

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

bahot achey ehsan uncle ....

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

:k:

Nice :k:

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

lovely!

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

ok nahee poochti :chai:

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

''kuch bhee na kaha aur kah bhee gaey'' lovely sharing

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

nafaraton ke teer kha kar doston ke shehr mein
ham ne kis kis ko pukara ye kahaani phir sahi

ik dafa Nikami ko waaj maRi hoti :blush:

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

acha to ap kya karti :konfused:

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

Hum nay toh waaj maari thee aap nay darwaza hee nahin khola. Aap kay naukar nay kaha kay aap pyaaz lenay bazaar gayee hooe hain. :pcg:

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

wow 1 of my fav:)
thx 4 sharing !!

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

**lovely **

PS:- kahi aap wo DADI AMA to nai hain jo raat k waqt bachoon ko kahani suna kar sulati thi and aaj aap kahani sunanay say inkaar kar rahi hain :hoonh:

Re: Hum ko kiskey ghum ney mara ye kahani phir sahi

:k: …
Bohat Khoob!!