hum kya karty kis raah chaltay
har raah mein kaantay bikhrey thay
un rishton kay jo choot gai
un sadyoon kay yaara’non kay
jo aik aik kar kay toot gai
jis rah chaley jis simat gai
yoon paa’on lahoo lohaan huway
aab dekhny waalay kehtay thay
ye kaisi reet rachaai hai
ye mehndi kyoon lagaaee hai
wo kehtey thay kyun qeht-e-wafa ka
naa-hak charcha karty ho
paa’on se lahoo ko dho daalo
ye raa’hein jab att jaa’yen gi
sau rasty in se phooteny gain
tum dil ko sambhaalo jis mein abhi
so tarhan kay nishtar toot’yen gey!!!
Touchy!
tum dil ko sambhaalo jis mein abhi
so tarhan kay nishtar toot’yen gey!!!
acha hay :k:
lovely:k::k:
Bahut hi khoobsurat :k::k::k:
mein woh nahie ke jis se roshan jahan hoo
mitti ka aik diya hoon mujhe bhool jaieye
hesrat ke ansoowon ki terhan mein bhi aap ki
ankhoon se gir chuka hoon mujhe bhool jaiye
ab kia kerein ge phir mujhe dil mein basa ke aap
saaman sokhta hoon mujhe bhool jaiye
wah wah....
each word is so beautiful. Nice.
keep it up.