hum ki barish nay bhi teray naksh ko dhoya nahin!

ghum ki barish nay bhi teray naksh ko dhoya nahin
tunay mujh ko kho diya, main nay tujhay khoya nahin

           neend kaa halka gulabi sa khumar ankhon main tha
           yun laga jaisay woh shab ko dair tak soyaa nahin

           har taraf deewaar-o-dar aur un main aankhon kay hajoom
           keh sakay jo dil ki halat woh lab-e-goya nahin

           jurm adam nay kiya aur nasl-e-adam ko sazaa
           kaat taa hoon zindagi bhar, main nay  jo beech boya nahin

           jaanta hoon aik aisay shakhs ko main bhi munir
           ghum se pathar ho gaya lekin kabhi 

roya nahin

Munir niazi!

beautiful lamhay :k:

Re: Ghum ki barish nay bhi teray naksh ko dhoya nahin!

Amazing:k:…thanx for sharing:)

hum ki barish? o ghum ki barish

i like munir niazi bahut hi achi hae

Nice gazal lamhay sis :k:

Xcellent Lamhay !

Palat kay aaye ga woh bhi gaye rutoon ki tarha
Jo tujhse rooth gaya hai usay juda na samjh

Keep smiling... :)

thanks monasha, amal,chandchehra, arifnawaz and nazam !
sorry nazam typo mistake !

Tujh ko duniya kuch nahi kehti lekin mujh ko pagal
meri jeet adhori hai aur teri haar mukammal
meray pyar ki shidaat dekho jab bhi aashk bahaoon
teri ankh main ajata hai meri ankh ka kajal!

Re: "Ghum ki barish nay bhi teray naksh ko dhoya nahin"

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
ghum ki barish nay bhi teray naksh ko dhoya nahin
tunay mujh ko kho diya, main nay tujhay khoya nahin

           neend kaa halka gulabi sa khumar ankhon main tha
           yun laga jaisay woh shab ko dair tak soyaa nahin

           har taraf deewaar-o-dar aur un main aankhon kay hajoom
           keh sakay jo dil ki halat woh lab-e-goya nahin

           jurm adam nay kiya aur nasl-e-adam ko sazaa
           kaat taa hoon zindagi bhar, main nay  jo beech boya nahin

           **Jaan**ta hoon aik aisay shakhs ko main bhi munir
           ghum se pathar ho gaya lekin kabhi 

roya nahin

Munir niazi!
[/QUOTE]

wah ji wah:k;

:k:
bhut khoob :slight_smile:
thxs 4 sharing lamhay siso :slight_smile:

thanks nikki and jaan leva ji !

Woh mujh say poch raha tha batao kaisa laga
tum agalay zakhumoon ko choro ye ghao kaisa laga
ajaab sawal kia andhiyoon nay patoon say
shajar say tuth kay girna batao kaisa laga!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

Tujh ko duniya kuch nahi kehti lekin mujh ko pagal
meri jeet adhori hai aur teri haar mukammal
meray pyar ki shidaat dekho jab bhi aashk bahaoon
teri ankh main ajata hai meri ankh ka kajal!
[/QUOTE]

Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay

:)

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

Woh mujh say poch raha tha batao kaisa laga
tum agalay zakhumoon ko choro ye ghao kaisa laga
ajaab sawal kia andhiyoon nay patoon say
shajar say tuth kay girna batao kaisa laga!
[/QUOTE]

apne guzre hue kal ki kitaab dekh raha hoon
zindagi ke zulmon ke hisaab dekh raha hoon

mujh ko jalaane tum bhi aaoge mere yaar
sach kehte ho,ya main khwaab dekh raha hoon

tere gam to seh liye ab gairon ki baari hai
aansu pee chukaa,sharaab dekh raha hoon

aap kehte ho ke meri aankhein nam nahin
main apne aayino mein sailaab dekh raha hoon

nahin....mujhko nahin...umeed unke aane ki
bas youn hi raahon ko janaab dekh raha hoon

Dil ki dunya ko tor betha hoon
Saare rustay he mor betha hoon

Khizaa`n ke mausamon ka sath de kar
Main kis ka hath chhor betha hoon

Ussay rula ke aur baychain sa kar ke Saahil
Main apna dil khud he tor betha hoon

Mujhe yaqee`n hai ke ik din wo loat aaigi
Bas isi aas pe ab dil ko jor betha hoon

Zamana laakh kahe mujh se Wo bewafa hai magar
Main is zamane ki rasmon ko tor betha hoon

Milenge phir se to hum tum juda na honge kabhi
Zubaan pe bas ye dua ab ke chhor betha hoon

Ya ap yahan apni shayyari post karlien ya mujhay karnay dein agar post karna hai tu meharbani farma kar alaag new topic main post karain
meharbani!

Lamhey buhut khoob thanks for sahring that beautiful poem!

gret ghazal..
nice choice Lamhay :k:

Lagaa Kay Aag Badan Mein Vo Mujh Say Chahta Hay...
Saans Loo'n To Fiza Mein Duaa'n Duaa'n Naa Karoo'n..!!

Dont' worry Lamhay, I wont repeat such mistakes again !

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Lagaa Kay Aag Badan Mein Vo Mujh Say Chahta Hay...
Saans Loo'n To Fiza Mein Duaa'n Duaa'n Naa Karoo'n..!!

Dont' worry Lamhay, I wont repeat such mistakes again !
[/QUOTE]

Alrite !(u always do that i mean mistakes any way its ok )

Re: "Ghum ki barish nay bhi teray naksh ko dhoya nahin"

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
ghum ki barish nay bhi teray naksh ko dhoya nahin
tunay mujh ko kho diya, main nay tujhay khoya nahin

           neend kaa halka gulabi sa khumar ankhon main tha
           yun laga jaisay woh shab ko dair tak soyaa nahin

           har taraf deewaar-o-dar aur un main aankhon kay hajoom
           keh sakay jo dil ki halat woh lab-e-goya nahin

           jurm adam nay kiya aur nasl-e-adam ko sazaa
           kaat taa hoon zindagi bhar, main nay  jo beech boya nahin

           jaanta hoon aik aisay shakhs ko main bhi munir
           ghum se pathar ho gaya lekin kabhi 

roya nahin

zaBARDAST choice :)

Munir niazi!
[/QUOTE]

excellent