**
hum k mint kash-e-syaad nahi hone k**
wo jo chahay bhi to aazad nahi hone k
daikh aa ker kabhi un ko bhi jo tere hathoon
aysay ujRay hain k aabad nahi hone k
yaar-e-bad ahed ka kitna bRa ehsaan hai k hum
ab kisi k liya berbaad nahi hone k
os jafa joo ko dua do k ager wo na raha
phir kisi se sitam eijaad nahi hone k
aaj phir jashn mnaya gaya aazadi ka
kal gharoon pe kai afraad nahi hone k.