Hum hi aaghaaz-e-mohabbet main thay anjaan bohat ....

Hum hi aaghaaz-e-mohabbet main thay anjaan bohat
Warna nikley thay teray wasal k unwaan bohat

Aaina-e-khana hairat hai k aasaib hai wo
Aankh main reh ker bhi kerta hai pareshaan bohat

Dil bhi kia cheez hai ab paa k ussey soochta hai
Kia issi waastey chaaney thay bayabaaN bohat

Ay gham-e-ishq meri aankh ko pathar ker day
hain meray sar per teray aur bhi ehsaan bohat

Faasley raah-e-taaluq k mittaiN gay kiyon ker
Husn paband-e-Ana ishq tan aasaaN bohat

Us ko bhi lag hi gaye shehar-e-mohabbet ki hawa
Wo bhi ~Amjad~ hai kaii din sey pareshaan bohat …

v nice Vv thanks 4 posting..:)

Re: Hum hi aaghaaz-e-mohabbet main thay anjaan bohat …

Oh my God…Its lovely :k:

^ Thanx koyal & capi... :)

Waoo!!! excellent:k::k:
thanx vivo!:flower1:

superb :k:

^ Thanx... :)