Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

Tum nay hamaiN BHula diya hum naa tumhaiN BHula sakay

Tum hee na sun sakay agar qissa e GHam sunay ka kon
Kiss kee zabaN KHulay gee PHir hum agar na suna sakay

HoSH maiN AA CHukay THay hum joSH maiN AA CHukay thay hum
Bazm ka rang deKH ker sir hum na uTHa sakay hum

Ronaq e bazm bun gaye lab per hikayataiN raheeN
Dil maiN SHikayataiN raheeN lab na magar hila sakay

Ajz say aur baRH gayee birahmi e mizaaj e dost
Ab woh karay ilaaj e dost jis kee samaJH maiN AA sakay

Aisa koi nama bar baat per kaan DHar sakay
Sun ker yaqeen ker sakay ja ker unhaiN suna sakay

SHoq e wisaal hai yahaN lab pay sawal hai yahaN
Kiss kee majal hai yahaN hum say nazar mila sakay

Ahl e zabaN tau haiN bohat koi nahi hai ahl e dil
Kon teri tarah Hafeez dard kay geet ga sakay

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

waah wa!!

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

Thanks

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

gud 1.

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

lo kar lo gal ap ko kesay pata hum yaad nahi kartey ap ko kabhi ap ne hum ko YAAD kia :p
nice sharing :)

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

zabardast

thanks

koi tu wajah hogi jo shikwa kia ja raha :p
PS: pasandeedgi kay leay shukarguzar aur mamnoon hoon.

bohat shukriya pg :)

very nice ... thanks for sharing :)

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

v nice

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

bohat umda...

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

Good one wise guy :k:

Very Nice.

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

great choice..

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

bht achay

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

Thank you all. :)

SHoq e wisaal hai yahaN lab pay sawal hai yahaN
Kiss kee majal hai yahaN hum say nazar mila sakay

Wah kia kehny... bohat khoob

Re: Hum hee maiN thee na koi baat yaad na tum ko AA sakay

achi hai kabhi kabhi acha post he laiety ap ;)