Hum hain mataa-e-kuucha-o-bazaar ki tarha
uth ti hai her nigaah kharidaar ki tarha
iss kuu-e-tishnagi mein bohat hai ke ek jaam
haath aa gaya hai daulat-e-bedaar ki tarha
wo tu hai kaheen aur magar dil ke aas paas
phirti hai koee shay nigaah-e-yaar ki tarha
seedhi hai raah-e-shauq pa yun bhi kabhi kabhi
kham ho gaee hai gesuu-e-dildaar ki tarha
ab jaa ke kuch khula hunar-e-naakhun-e-junuun
zakhm-e-jigar hue lab-o-rukhsaar ki tarha
Majrooh likh rahe hain wo ahl-e-wafa ka naam
ham bhi khare huay hain gunahgaar ki tarha
By: Majrooh Sultanpuri