Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

Udaas si is shaam meiN ye saath aakhri hey
hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

meiN ney kaha kuch to kaho ke aaj aey jaan-e-man
jholi meiN apni lamhoN ki ye kheiraat aakhri hey

wo kehney lagi kehney ko kuch bacha nahi magar
laboN pe ab bhi lagta hey koi baat aakhri hey

meiN ney kaha ab aaNkhoN meiN koi aks nahi raha
lagta hey jesey zindagi ki ye sa’aat aakhri hey

wo falak ko tak ke karney lagi mojzoN ki baat
meiN sochney laga umeed ki ye soghaat aakhri hey

meiN ney kaha ab aas ka naya kheil kya kheileiN
ke khuwaahishoN ki bisaat par ye maat aakhri hey

wo kehney lagi aaj lagta hey har taara sog’waar
jesey chaandni aur chaand ki ye raat aakhri hey!

By: Amal

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

meiN ney kaha ab aaNkhoN meiN koi aks nahi raha
lagta hey jesey zindagi ki ye sa’aat aakhri hey
beautiful Amal :k:

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

ahhh … beautifulll :k:

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

beautiful amal :rolleyes: mujhy bhi dekhna hai :smiley:

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

beautiful like always :-)

chanda: sab khariyat na?!?! waise yay peeliya kab hua :p

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

Nice one.

Tum ne jub chaha, hum ne maana
Humari dafa mulaqat aakhri thi?

Mojze to banda-e-kaamil ka meraaj hain
Humare liye yeh karamaat aakhri thi?

Aas ka khel tha yaa dil-luggi thi
humare peet pe yeh laat aakhri thi?

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

akheer ker dee app nay amal jI! :k:

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

gr8 work:k:
.
.
.
.
thanx 4 sharin

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

*meiN ney kaha ab aas ka naya kheil kya kheileiN
ke khuwaahishoN ki bisaat par ye maat aakhri hey

wo kehney lagi aaj lagta hey har taara sog'waar
jesey chaandni aur chaand ki ye raat aakhri hey!
*

B E A U T I F U L !

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

*Woh kehney lagi aaj lagta hai har taara sog'waar
Jaisey chaandni aur chaand ki yeh raat aakhri hai
*

As usual.. another wonderful piece of poetry... thank you for sharing :-)

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

Mashallah.. Very Nice AMAL… Beautiful as Usual :flower1:

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

Thanx :blush:


CC thanx for liking it. And nice to see you again :slight_smile:

GtG, thanx for the guest appearance :~)

umer.ashraf, show_sha, Jaan Lewaa, HeArT HaCKeR, KhamoshNigahein and GS, ghazal pasand karney ke leeye be’had shukriya :slight_smile: So nice of you :slight_smile:

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

Sad:(...but Beautiful!!!

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

As always as beautiful as it ought to be :)

meiN ney kaha ab aas ka naya kheil kya kheileiN
ke khuwaahishoN ki bisaat par ye maat aakhri hey

very deep

wo kehney lagi aaj lagta hey har taara sog'waar
jesey chaandni aur chaand ki ye raat aakhri hey!

kuch yaad dilaa diYaa dost :-)

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

Bohat khoob kiya baat hai... Khush rahooo

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

maza aa gaya parh kar :k:
main nay abhi nai nai join ki hay ye mefil
aur ab afsoos ho raha hay k itni dair say
kiyoon pata chala..
i really enjoing it.

the best one :slight_smile:

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

wo kehney lagi aaj lagta hey har taara sog’waar
jesey chaandni aur chaand ki ye raat aakhri hey!

very very nice.. :flower1:

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

beautiful :flower1:

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

meiN ney kaha ab aaNkhoN meiN koi aks nahi raha
lagta hey jesey zindagi ki ye sa'aat aakhri hey

meiN ney kaha ab aas ka naya kheil kya kheileiN
ke khuwaahishoN ki bisaat par ye maat aakhri hey

bahot hi khoobsurat hai........Amal

Re: Hum donoN jaantey they ye mulaaqaat aakhri hey

wow yaar Amal mashaAllah very beautiful poem