Hum do humarey do

Allah palta hai Lois Lane. Wo shaksh naheen palta. Allah deta hai Aulad wo to sirf shauq aur khuwahish kar sakta hai poora to sirf Allah karta hai.

Ussi tarha jis tarha bayaulaad aulaad honay ki sirf khuwahish aur koshish kartay hain laikin Allah chahta hai to deta hai aur jub naheen chahta to naheen deta.

Allah hi sub ko palnay wala hai.

Niki didi. Main to angraizon ka yay rule mulk say nikaal phainkoon aur kahoon kay musalmanon fauj e ghafeer paida karo.

Niki didi hum do hamaray do kay usool par chal kar aik doctor nain meri phuphi ki aulad bundish kar di unkay do larkay hain. Un ko larki ka bohat hi shauq tha jo poora na ho saka.

Budtameez doctor nain khud hi kia baghair poochay. Allah kay yahan hisaab to dena ho ga us ko.

It’s very un Islamic to stop having child or children. Unless you have any critical or medical problem.