*
Hum bhool gaye har baat magar tera pyar nahee bhoolay
Kya kya huwa dil ke saath magar tera pyar nahee bhoolay
Duniya se shikaayat kya kartay jab tu ne humein samjha hi nahee
Gairoon ko bhala kya samjhaatay jab apnoo ne samjha hi nahee
Tu ne chor diya re mera haath, magar tera pyar nahee bhoolay
Kasmain khaa kar waaday toray hum phir tujhe na bhool sakay
Jhoolay tu paray baaghoon mein magar hum bin tere na jhool sakay
Saawan mein jalay din raat, magar tera pyar nahee bhoolay
Hum bhool gaye har baat magar tera pyar nahee bhoolay
Kya kya huwa dil ke saath magar tera pyar nahee bhoolay