Daagh
1
*
deewaron se milkar rona achcha lagta hai
hum bhi pagal ho jayege aisa lagta hai
duniya bhar ki yaadein humse milne aati hai
shaam dhale is soone ghar mein mela lagta hai
kitne dinon ke pyaase hoge, yaaron socho to
shabnam ka qatra bhi jinko dariya lagta hai
kisko ‘Qaisar’ pathar maaroon kaun paraya hai
sheesh mahal mein ek ek chehra apna lagta hai
*
Azad
4
Ho jain gay ... jaisay hain nahi
Daagh
5
thanks cuteepie and WG
Azaad…isse bhi zyada ho jain gay 
Koyal
8
sallu g IN ko aa’ena dekhanay ka faida 
hehe thanks all 
haan ho to gaya hoon
aur kitna ho jaao