**Jab teri dhun mein jiya kartay thay
Hum bhi chup chaap phira kartay thay
Aankhoon mein pyaas huwa karti thee
Dil mein toofaan utha kartay thay
Log aatay thay ghazal sunaanay ko
Hum teri baat kia kartay thay
Sach samajhtay thay tere waadoon ko
Raat din ghar mein raha kartay thay
Kisi weeranay mein tujh se mil kar
Dil mein kia phool khila kartay thay
Ghar ke dewaar sajaanay ki khaatir
Hum tera naam likha kartay thay
Woh bhi kya din thay tujhe bhula kar
Hum tujhe yaad kiya kartay thay
Kal tujhe dekh kar yaad aaya
Hum bhi kabhi muhabbat kiya kartay thay …
**