jab teri dhun mai jiya kartay thay
hum bhi chup-chaap pyar kartay they
ankhon mai pyaas hua karti thi
dil mai toofaan utha kartay thay
log aatay thay ghazal sunn-nay ko
hum teri baatein kiya kartay thay
sach samajhte thay teri mohabbat ko
dil mai kya phool khila kartay thay
ghar ki dewaar sajanay ki khaatir
hum tera naam likha kartay thay
wo bhi kya din thay, tujhay bhulakar
hum tujhe yaad kiya kartay thay
kal tujhe dekh kar yaad aaya
hum bhi kabhi mohabbat kiya kartay thay