Muskurahat, tabassum, hansi, qehqahay
sab k sab kho gaey
hum baray ho gaey
zimedaari musalsal nibhatay rahain
bojh oron ka khud hi uthatay rahain
apne dukh soch kar roein tanhai main
mehfilon main magar muskuratay rahein
kitne logon say abb mukhtalif ho gaey
hum baray ho gaey
aur kitni musafat hay baqi abhi
zindagi ki hararat hay baqi abhi
wo jo hum say baray hain salamat rahein
un sabhi ki zaroorat hay baqi abhi
JO THAPAK KAR SULATAY THAY KHUD SO GAEY
hum baray ho gaey
khatam hone ko ab zindagani hoi
janay kab aai or kiya jawaani hoi
dekhtay dekhtay kiya say kiya ho gaya
jo haqeeqat thi abb wo kahani hoi
girls collge ke gate pe khaRa guard
umar poochtaa hai, mangtaa hai ID card
chotay larkay andar jaatay rahay
hum bahar khaRay ho gaye
Lo ji hum chaRay ho gaye
hum baRay ho gaye
Depends ..keep praticing Muskurahat ..tabassum ..qehqahay no matter how old you grow..you can and definitely will feel like a kid on roll.
Baray tou hum uss waqt hotey hain jab bavajood masail kay hum muskuratey rehtay hain..
Mein un logon ki baat ker rahii hun jo iktefa kerna jaantey hain ..Jo Allah se mangtey hain na kay makhlooq se..jo razi ba raza rehtay hain ..aur jo k aajkal nayaab hain