HUM
chahen har waqat mulaqaat, aankhen
karti rehti hain kia kia baat, aankhen
deed ho jaye sar-e-rah youn hiii
bakti rehti hain kh’araafaat, aankhen
aaj din bhar tumhara zikar raha
khoob barsen gi aaj, raat aankhen
AUR TUM…
muskuraen woh neem khawab, aankhen
zindagi kaa jo hain nisaaab, aankehn
main musafar hun dasht-o-sehra ki
Rukh~ naseem-o-baad, or gul-o-habaab aankhen