Hum aur abhi kia harein ge
Haan dil ki baazi haar gay
jo mango chaho le jao
per ik kahani de jao
is dil mein tu youn ay larki!
Abhi ulfat ki aag nahi bharki!
Ab aag bhee tum hee laga jao
Jub jalne lagay bhuja jao
Ye pyaar beo-pyaar k Qis-say tu
Jhootay hee fasanay lagte hain
Ye duuri aur ye majboori
Na milne k bahanay lagte hain
Mun-gharat fasanay lagtay hain
Meri nazmoon mein tum aa jao
Jo mango chaho le jao
Haan tum ne kaha tha khirki bhee
Haan khirki bhee darwaza bhee
Din raat khula sa rehta hai
Haan is khulay darwazay mein
Ghar jhank-nay tum bhee aa jao
Jo mango chaho le jao
Aik daagh tu pehle dil mein tha
Aik tum bhee nishaani de jao
jo mango chaho le jao
per aik kahani de jao
is daagh se pehle bhee dil mein
Aik aag see jalti rehti thee
is aag ko aur bharka jao
jub jalne lagay bhuja jao
Ya apni saaNs ki gurmi se
sulga jao, sulga jao
sigh