Hum Apne Aasuon Ka Afsaanaa
Hum apne aasuon ka afsaanaa
Kyaa sunaayein, kyaa sunaayein
Duniyaa ne kar diyaa he deevaanaa
Kyaa bataayein, kyaa bataayein
Sab zakhm bhar chuke hein, sab khvaab mar chuke hein
Ab kis ummeed par hum, shammein nayi jalaayein
In kashtiyon ka kyaa he, aksar ye hi huaa he
Toofaan se nikal kar, saahil pe doob jaayein
Kab saath umr bhar ka, humdil zidon ne chaahaa
Par humsafar hamaare, kuchh door tak to aayein
Written by Ahmed Faraz
Sung by Malika Pukhraj