**Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota magar aisa nahin hota…
yeh hargiz kam nahin hoti…
MOHABBAT THAIR JAATI HAI**