hum aisay loog hain

Hum aisay loog hain
jo mohsinoo ko maar detay hain
haseen khowaboon
haseen zahnoo
haseen jazboon
ki qeemat aik goli hai
hum ankhain band rakhtay hain
magar khowaboon ko anay ki
ijazat hum nahi datay
hum aik bud rang dunya kay makeen hain
agar koi yahan aie
aur apni mammta ki goud main
khushyoon kay rang laie
sunhari khowab ka thala
utha ker hum ko yeh kah day
zara jago…idhar dekho
kay dunya kay gulaboon per
khushi kay saray khwaboon per
tumhara bhi koi haq hai
tou hum zahnoo main jismoon main
kaie barood bhar ker is se miltay hain
khushi kay saray rangoon ko
laho se toul datay hain
hum is kay saray khwaboon ko
sabhi hastay gulaboon ko
zameen main rool datay hain
hum aisay loog hain

mehwish afsar

Re: hum aisay loog hain

khoob hai

thank u so much
take care..
mehwish afsar