***Hum agar dasht~e~junooN meiN na ghazal khuaaN hotay
Shehr hotay bhi tou avaaz kay zindaaN hotay
Zindagi! Tayray taqazay agar asaaN hotay
Kitnay abaad jazeeray haiN keh veeraaN hotay
Tou nay daikha hi naheiN piyar say zarrooN ki taraf
Ankh hoti to sitaray bhi numayaaN hotay
Arzoo^ooN say jo paymanay vafa hum rakhtay
Sanahay zakhm bhi hotay to gulsitaaN hotay
Ishq hi shola~e~arkaaN seher hay varna
Khuaab tabeer say pehlay hi paraishaaN hotay
Mazi~o~dosh ka hur daagh hai farda ka charagh
Kaash yeh shaam~o~seher sirf dil~o~jaaN hotay
Zabt…toufaaN ki tabiyat hi ka rukh hai ‘Zameer’
Mauj, avaaz badal laytee hai toufaaN hotay*
Zameer Jafri, the voice of emotions.**